Shah Naseer

rang maila na hua jama-e-uryani ka

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
rañg mailā na huā jāma-e-uryānī kā
sar-o-sāmāñ hai hameñ be-sar-o-sāmānī kā
ā.īna dekhe hai vo aur use ā.īna
zor aalam hai dilā ālam-e-hairānī kā
dam-e-hastī pe habāb apnī abas ubhre thā
aañkh khulte hī maqām us pe khulā faanī kā
tishnagī ḳhaak bujhe ashk kī tuġhyānī se
ain barsāt meñ bigḌe hai mazā paanī kā
zulf gar khīñch sake yaar ke tū shāne se
haath yak-dast qalam kījiyegā 'mānī' kā
jhaḌ ga.ī abar-e-bahārī kī bhī sheḳhī lekin
na ghaTā zor mire ashk kī tuġhyānī kā
ai junūñ roz rahe hai mire dāman se lagā
huuñ qadam-bos na kyuuñ ḳhār-e-bayābānī kā
kyuuñ na añgusht-numā hove hilāl-abrū
zor aalam hai tire qashqa-e-peshānī kā
dil na chhuT zulf-e-butāñ chashm kā bāñdhe hai ḳhayāl
yaad mazmūñ hai pareshāñ ko pareshānī kā
jām-o-mīnā jo bane aabla o daaġh 'nasīr'
dil ne sāmān kiyā kis kī ye mehmānī kā
Top Urdushayar.com