dil jalva-gāh-e-sūrat-e-jānāna ho gayā
shīsha ye ek dam meñ parī-ḳhāna ho gayā
shab kyuuñ ki saltanat na kare tāj-e-zar se sham.a
rashk-e-par-e-humā par-e-parvāna ho gayā
kaifiyyatoñ se gardish-e-chashm-e-butāñ kī dil
shīsha kabhī banā kabhī paimāna ho gayā
tuġhyānī-e-sarishk se apnī bhī ba.ad-e-qais
dariyā kā paaT dāman-e-vīrāna ho gayā
zanjīr kyuuñ na us kī qadam-bos ho bhalā
jo koī tere ishq meñ dīvāna ho gayā
yaañ tak kiyā hai shohra-e-āfāq ishq ne
qissa mirā bhī ḳhalq meñ afsāna ho gayā
kyā roiye ḳharābī-e-iqlīm-e-dil ko dekh
āñkhoñ ke dekhte hī to kyā kyā na ho gayā
saaqī kidhar phire hai tū tanhā ba-rañg-e-jām
tujh bin ḳharāb in dinoñ mai-ḳhāna ho gayā
āñkhoñ se tujh ko yaad maiñ kartā huuñ roz-o-shab
be-dīd mujh se kis liye begāna ho gayā
kahte haiñ us ke silsila-e-zulf meñ 'nasīr'
dil bhī murīd ab sifat-e-shāna ho gayā