Shah Naseer

haram ko shaiKH mat ja hai but-e-dil-KHwah surat mein

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
haram ko shaiḳh mat jā hai but-e-dil-ḳhvāh sūrat meñ
agar hai mard-e-ma.anī dekh le allāh sūrat meñ
nazar kar us kī Tuk nairañgiyoñ par chashm-e-hairat se
kahīñ gul hai kahīñ kāñTā kahīñ hai kaah sūrat meñ
sanam kī satr-e-abrū kātib-e-qudrat ne likhī hai
kalīd-e-ilm-e-ma.anī hai ye bismillāh sūrat meñ
subū-o-jām par kam-zarf karte haiñ nazar varna
bane haiñ ek miTTī ke gadā o shaah sūrat meñ
mirā vo tifl-e-abjad-ḳhvāñ paḌhe kyūñkar na ab hijje
baġhair is qā.ede ke ho sake kab raah sūrat meñ
judā dīvār se kab taaq hai koī batāo to
dikhā.ī de hai pur-ahvāl ko do ik maah sūrat meñ
kar apne dil ko saiqal ai sikandar tā ho ye raushan
safā se aa.ine ke kab ḳhalal hai aah sūrat meñ
gayā hogā taraf ka.aba kī jo mahram nahīñ us se
ki haajī us ke aamad raft kī hai raah sūrat meñ
'nasīr' us kī zaqan meñ band hai vo yūsuf-e-kan.āñ
nikaltī hai azīzo dekh lo kyā chaah sūrat meñ
Top Urdushayar.com