yaaro nahīñ itnā mujhe qātil ne satāyā
jitnā ki mare dushman-e-jāñ dil ne satāyā
kuchh sarzanish-e-kār kā shākī vo nahīñ hai
majnūñ ko to hai sāhib-e-mahmil ne satāyā
ġhuncha kahūñ yā durj-e-guhar tere dahan ko
khulnā nahīñ is uqda-e-mushkil ne satāyā
ārām se soyā na kamar kā tirī kushta
marqad meñ bhī mūrān-e-tah-e-gil ne satāyā
us kā mujhe shab yaad dilāyā ruḳh-e-pur-nūr
shakl apnī dikhā kar mah-e-kāmil ne satāyā
merā dil-e-saudā-zada kartā na kabhī ġhul
is kākul-e-pechāñ ke salāsil ne satāyā
afyūñ kī kisī roz maiñ khā jā.ūñgā golī
be-vajah ruḳh-e-yār ke gar til ne satāyā
jab bosa maiñ māñgūñ huuñ to kyā kahte ho muñh pher
aisā to kisī bhī nahīñ saa.il ne satāyā
har jā mutajallī hai vo be-parda va-lekin
ġhaflat ke mujhe parda-e-hā.il ne satāyā
thā ek to sayyād giraftār qafas meñ
aur dūsre āvāz-e-anādil ne satāyā
ai ham-safarāñ pesh-ravī kī nahīñ tāqat
kyā kiije hameñ dūri-e-manzil ne satāyā
pahlū meñ 'nasīr' aah nahīñ hai dil-e-muztar
is sher-e-ġham-ālūda-e-be-dil ne satāyā