Shah Naseer

kabhu na us ruKH-e-raushan pe chhaiyan dekhin

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
kabhū na us ruḳh-e-raushan pe chhā.iyāñ dekhīñ
ghaTā.eñ chāñd pe sau baar chhā.iyāñ dekhīñ
fatādgī meñ jo izzat hai sar-kashī meñ kahāñ
ki naqsh-e-pā kī yahāñ rah-numā.iyāñ dekhīñ
balā.eñ leve hai hāthoñ se us kī zulfoñ kī
ye dast-e-shāna kī ham ne rasā.iyāñ dekhīñ
chaman meñ nāḳhun-e-har-barg-e-gul se bulbul kī
hazār rañg se uqda-kushā.iyāñ dekhīñ
zabān-e-tesha bahut kaam aa.ī ai farhād
jo ishq ne tirī zor-āzmā.iyāñ dekhīñ
nazar meñ apnī vo phirtī haiñ sūrateñ haihāt
falak ne ḳhaak meñ kyā kyā milā.iyāñ dekhīñ
kisū ne lī na ḳhabar ġharq-e-bahr-e-ulfat kī
in āshnāoñ kī ye āshnā.iyāñ dekhīñ
hamārī us kī kudūrat kī vaj.h kuchh na rahī
ki aa.ine ne diloñ kī safā.iyāñ dekhīñ
ham apnā tujh ko havā-ḳhvāh jānte the sabā
bahāreñ tū ne bhī tanhā uḌā.iyāñ dekhīñ
bayān kis se karūñ apnī tīra-baḳhtī kā
añdherī rāteñ vo ai dil phir ā.iyāñ dekhīñ
'nasīr' kiije vafā kab talak ba-qaul-e-'mīr'
jafā.eñ dekh liyāñ bevafā.iyāñ dekhīñ
Top Urdushayar.com