Shah Naseer

hum phaDak kar toDte sari qafas ki tiliyan

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
ham phaḌak kar toḌte saarī qafas kī tīliyāñ
par nahīñ ai ham safīro! apne bas kī tīliyāñ
bahr-e-aivāñ aur banvā chilman ai parda-nashīñ
ho ga.ī bad-rañg haiñ agle baras kī tīliyāñ
ḳhaak meñ nā jins rahte haiñ na ahl-e-imtiyāz
ai falak bantī nahīñ jārūb ḳhas kī tīliyāñ
ain fasl-e-gul meñ hī sayyād-e-be-parvā ne aah
das ke par katre to kiiñ āñkhoñ meñ das kī tīliyāñ
hirs-e-duniyā chāhtī hai ye ki sīm-o-zar kī hoñ
ye charāġh-e-ḳhāna-e-ahl-e-havas kī tīliyāñ
imtiyāz-e-nek-o-bad ḳhud ho na jis ko ai 'nasīr'
us ke nazdīk ek haiñ ḳhāshāk-o-ḳhas kī tīliyāñ
Top Urdushayar.com