Shah Naseer

juda nahin hai har ek mauj dekh aab ke bich

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
judā nahīñ hai har ik mauj dekh aab ke biich
hubāb bahr meñ hai bahr hai hubāb ke biich
lagā hai jis se mire dil meñ ishq kā kāñTā
huuñ misl-e-māhī-e-be-tāb pech-o-tāb ke biich
kisū ke dil kī imārat kā fikr kar mun.im
banā na ghar ko tū is ḳhāna-e-ḳharāb ke biich
har ek chalne ko yaañ musta.id hai shāh-savār
zamīñ pe paañv hai ik dūsrā rikāb ke biich
ba-rañg-e-sham.a chhupe husn-e-jalvagar kyuuñ kar
hazār us ko rakheñ burqa-o-naqāb ke biich
'nasīr' āñkhoñ meñ apnī lage hai yuuñ do jahāñ
ḳhayāl dekhte hī jaise shab ko ḳhvāb ke biich
Top Urdushayar.com