Shah Naseer

be-sabab hath kaTari ko lagana kya tha

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
be-sabab haath kaTārī ko lagānā kyā thā
qatl-e-ushshāq pe beḌā ye uThānā kyā thā
sar pe apne tū na le ḳhuun ab ik aalam kā
funduq-hā-e-nigārīñ ko dikhānā kyā thā
sar-bulandī ko yahāñ dil ne na chāhā mun.im
varna ye ḳhema-e-aflāk purānā kyā thā
is liye chīn-e-jabīñ mauj rahe hai har dam
ai hubāb-e-lab-e-jū aañkh churānā kyā thā
sāqiyā apnī balā se jo ghaTā uTThī hai
de ke ik jur.a-e-mai dil ko ghaTānā kyā thā
sarzamīñ zulf kī jāgīr meñ thī is dil kī
varna ik daam kā phir is meñ Thikānā kyā thā
kah ġhazal dūsrī is bahr meñ ek aur 'nasīr'
yak qalam likhne se ab haath uThānā kyā thā
Top Urdushayar.com