Shah Naseer

ek qafila hai bin tere ham-rah safar mein

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
ik qāfila hai bin tire ham-rāh safar meñ
ashk aañkh meñ hai dil meñ hai daaġh aah jigar meñ
ārām mujhe bin tire ik pal nahīñ ghar meñ
juuñ mardumak-e-dīda huuñ din raat safar meñ
phirtā hai vo gul-posh mire dīda-e-tar meñ
hai sho.ala-e-javvāla kī tasvīr bhañvar meñ
sūrāḳh yahāñ sūrat-e-favvāra haiñ sar meñ
dikhlā.ūñ tamāshā jo mujhe chhoḌ de ghar meñ
rashk aa.e na kyuuñ mujh ko ki tū dekh zar-o-sīm
rakhtā hai qadam palla-e-ḳhurshīd-o-qamar meñ
maiñ in dur-e-shahvār ke ashkoñ se idhar aa
taulūñgā biThā kar tujhe hairān nazar meñ
aa dekh na hañs hañs ke rulā mujh ko sitamgar
ik nuuh kā tūfāñ hai mire dīda-e-tar meñ
aks-e-lab-e-pāñ-ḳhurda se dandāñ haiñ tire surḳh
yā ātish-e-yāqūt hai ye āb-e-guhar meñ
baaz aao shikār-afganī se haath uThāo
bhāle ko miyāñ kis liye rakhte ho kamar meñ
rahtī hai baham zulf banā gosh se tere
kuchh farq nahīñ hai sar-e-mū shām-o-sahar meñ
hai is meñ raqam hāl-e-siyah-baḳhtī-e-āshiq
ye naama koī bāñdh do ab zaaġh ke par meñ
ye bhī koī insāf hai ai ḳhāna-ḳharāb aah
auroñ ko to le jaa.e hai tū din diye ghar meñ
aur ham jo haiñ so dekhne ko bhī tire tarseñ
dīvār meñ raḳhna hai na sūrāḳh hai dar meñ
kis vaj.h 'nasīr' us lab-e-shīrīñ pe na ho ḳhaal
hotā vatan-e-mor to hai tañg shakar meñ
Top Urdushayar.com