Shah Naseer

liya na hath se jis ne salam aashiq ka

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
liyā na haath se jis ne salām āshiq kā
vo kaan dhar ke sune kyā payām āshiq kā
qusūr-e-shaiḳh hai firdaus o huur kī ḳhvāhish
tirī galī meñ hai pyāre maqām āshiq kā
ġhurūr-e-husn na kar jazba-e-zuleḳhā dekh
kiyā hai ishq ne yūsuf ġhulām āshiq kā
tire hī naam kī simran hai mujh ko aur tasbīh
tū hī hai vird har ik sub.h-o-shām āshiq kā
vafūr-e-ishq ko āshiq hī jāntā hai 'nasīr'
har ik samajh nahīñ saktā kalām āshiq kā
Top Urdushayar.com