Rahat Indori

hath Khaali hain tere shahr se jate jate

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
haath ḳhālī haiñ tire shahr se jaate jaate
jaan hotī to mirī jaan luTāte jaate
ab to har haath kā patthar hameñ pahchāntā hai
umr guzrī hai tire shahr meñ aate jaate
ab ke māyūs huā yāroñ ko ruḳhsat kar ke
jā rahe the to koī zaḳhm lagāte jaate
reñgne kī bhī ijāzat nahīñ ham ko varna
ham jidhar jaate na.e phuul khilāte jaate
maiñ to jalte hue sahrāoñ kā ik patthar thā
tum to dariyā the mirī pyaas bujhāte jaate
mujh ko rone kā salīqa bhī nahīñ hai shāyad
log hañste haiñ mujhe dekh ke aate jaate
ham se pahle bhī musāfir ka.ī guzre hoñge
kam se kam raah ke patthar to haTāte jaate
Top Urdushayar.com