Shah Naseer

meri turbat par chaDhane DhunDta hai kis ke phul

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
merī turbat par chaḌhāne DhūñDtā hai kis ke phuul
terī āñkhoñ kā huuñ kushta rakh de do nargis ke phuul
ek din ho jā.ūñgā tere gale kā haar maiñ
sūñghne ko mat liyā kar haath meñ jis tis ke phuul
bistar-e-gul par jo tū ne karvaTeñ liiñ raat ko
itr-āgīñ ho ga.e ai gul-badan sab pis ke phuul
vasl-e-mahvash kā dilā muzhda hameñ de hai charāġh
jhaḌte haiñ har dam shab-e-hijrāñ meñ muñh se is ke phuul
kuchh ḳhabar bhī hai tujhe chal fātiha ke vāste
aaj haiñ ai shoḳh tere āshiq-e-muflis ke phuul
aur hī kuchh rañg hai siine ke dāġhoñ kā mire
is ravish ke haiñ kahāñ tere sipar par mis ke phuul
tū hai vo jo mahr-o-mah shām-o-sahar tujh par se vaar
sīm-o-zar ke pheñkte haiñ biich meñ majlis ke phuul
kyā navā-sanjī kareñ ai ham-safīrān-e-chaman
aa ga.ī fasl-e-ḳhizāñ gulshan se saare khiske phuul
haiñ mah o ḳhurshīd jo shaam o sahar tujh par se vaar
siim o zar ke pheñkte haiñ biich meñ majlis ke phuul
kis ne sikhlā.ī hai tujh ko ye ravish raftār kī
miT ga.e qālīñ ke jo tere qadam se ghis ke phuul
phuljhaḌī se kam nahīñ mizhgān-e-ashk-afshāñ tirī
motiyā ke dekhnā jhaḌte haiñ muñh se is ke phuul
rañg-e-ḳhūb-o-zisht meñ kyuuñ farq samjhe hai 'nasīr'
ḳhaar bhī tū hai usī kā haiñ banā.e jis ke phuul
Top Urdushayar.com