Shah Naseer

Khaal-e-mashshata bana kajal ka chashm-e-yar par

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
ḳhāl-e-mashshāta banā kājal kā chashm-e-yār par
zaaġh ko bahr-e-tasadduq rakh sar-e-bīmār par
mujh ko rahm aatā hai dast-e-nāzuk-e-dildār par
maiñ hī rakh dūñgā galā ai hamdamo talvār par
be-suvaidā haath dil mat Daal zulf-e-yār par
maash pahle paḌh ke mantar pheñk rū-e-yār par
gar hifāzat ruḳh kī hai manzūr to miTvā na ḳhat
bāġhbāñ rakhtā hai kāñTe baaġh kī dīvār par
kaun kahtā hai ki sabza aag par ugtā nahīñ
ḳhat hai paidā yaar ke dekho ruḳh-e-gulnār par
dekh mizhgāñ par mirī tuġhyāni-e-sail-e-sarishk
nuuh kā tūfāñ na dekhā hove jis ne ḳhaar par
jis ko dekhā hī nahīñ us ke vatan meñ qadr-e-ḳhāk
baaġh se ho kar judā pahuñche hai gul dastār par
haq agar pūchho to ejāz-e-sar-e-mansūr thā
varna lagnā thā ta.ajjub phal kā naḳhl-e-dār par
Top Urdushayar.com