Shah Naseer

jo raqibon ne kaha tu wahi bad-zan samjha

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
jo raqīboñ ne kahā tū vahī bad-zan samjhā
dost afsos na samjhā mujhe dushman samjhā
nā-tavāñ vo huuñ ki bistar pe mujhe dekh ke aah
tār-e-bistar koī samjhā koī sozan samjhā
teġh-e-qātil jo mohabbat se lagī aa ke gale
taab ko us kī maiñ apnī rag-e-gardan samjhā
apne pājāma-e-kam-ḳhvāb kī har boTī ko
sham.a-rū shab ko charāġh-e-tah-e-dāman samjhā
sur-at-e-ablaq-e-ayyām se ġhāfil thā aah
dam-e-āḳhir maiñ use umr kā tausan samjhā
ḳhār-e-sahrā se chhidī jab kaf-e-pā majnūñ kī
ḳhāk-bezī ko vo ġhirbāl kā rauzan samjhā
kamar-e-yār kā az-bas-ki jo rahtā hai ḳhayāl
dil ko maiñ chīnī-e-mū-dār kā bartan samjhā
gul ko ma.alūm na thī hasti-e-fānī apnī
ai nasīm-e-saharī vaqt-e-shaguftan samjhā
bistar-e-gul se munaqqash jo huā us kā badan
tan-e-nāzuk pe vo phul-kārī kī chipkan samjhā
jīte-jī chāhiye hai āqibat-e-kār kī fikr
fā.eda kyā agar insāñ pas-e-murdan samjhā
mīrzā.ī ko na fariyād ne chhoḌā tā-marg
jīġha-e-sar tujhe ai tesha-e-āhan samjhā
aks-afgan hai tire sāġhar-e-sahbā meñ ye zulf
tū abas ai but-e-mai-kash use nāgan samjhā
sāya-e-zulf ne us ke ye diyā dhokā raat
chalne vāloñ ne jise af.ī-e-rahzan samjhā
chashm ne apnī taraf se to sujhā.ī thī 'nasīr'
dil na par us sitam-ījād kī chitvan samjhā
Top Urdushayar.com