na zikr-e-āshnā ne qissa-e-begāna rakhte haiñ
hadīs-e-yār rakhte haiñ yahī afsāna rakhte haiñ
chaman meñ sarv-qad gar jalva-e-mastāna rakhte haiñ
ba-rañg-e-tauq-e-qumrī ham ḳhat-e-paimāna rakhte haiñ
ḳhayāl āñkhoñ kā terī jabki ai jānāna rakhte haiñ
to juuñ nargis har ik añgusht bar paimāna rakhte haiñ
numāyāñ zulf ke halqe meñ kar Tuk ḳhāl-e-āriz ko
ki haiñ sayyād jitne daam meñ vo daana rakhte haiñ
ba-juz-ā.īna māshūqoñ kī kab ho zulf-pardāzī
ki aks-e-panja-e-mizhgāñ se dast-e-shāna rakhte haiñ
bajā.e halqa-e-kākul haiñ ḳhāl-e-rū-e-said-afgan
ba-chashm-e-dām jā-e-mardumuk yaañ daana rakhte haiñ
bisān-e-chob-o-naqqārā haiñ ḳhaar o ābla-pā.ī
ba-vādī-e-junūñ-añgez naubat-ḳhāna rakhte haiñ
nahīñ ashk-e-musalsal ye garebāñ-gīr ai saaqī
gale meñ apne āshiq sub.ha-e-sad-dāna rakhte haiñ
sadā-e-āshnā.ī misl-e-hamdam ho so vo jaane
ki misl-e-bāñsurī añgusht-bar har ḳhāna rakhte haiñ
na uljho is qadar be-vaj.h suljhāne meñ zulfoñ ke
dil-e-sad-chāk to ham bhī ba-rañg-e-shāna rakhte haiñ
dil apnā kyuuñ na ho bahr-e-jahāñ meñ juuñ guhar kaalā
talāsh-e-āb hai ham ko na fikr-e-dāna rakhte haiñ
na kyūñkar bazm meñ raushan ho apnī shab ye dil-sozī
ki ulfat sham.a-rū se ham bhī juuñ parvāna rakhte haiñ
bahār aa.ī hai ab to ai junūñ ho silsila jumbāñ
ki ham muddat se qasd-e-raftan-e-vīrāna rakhte haiñ
nigah Tuk abrū-o-chashm-e-butāñ par kījiyo zāhid
ki ye mehrāb-e-masjid ke tale mai-ḳhāna rakhte haiñ
biThā.eñ sarv-o-shamshād apne sar par kyuuñ na qumrī ko
tire qad ke haiñ bande vaz-e-āzādāna rakhte haiñ
Thikānā kuchh na pūchho ham se tum ḳhāna-ba-doshoñ kā
jahāñ juuñ bū-e-gul Thahre vahīñ kāshāna rakhte haiñ
hameñ mat chheḌ kar dekho rulāo aur jalāo tum
ki tūfāñ chashm meñ siine meñ ātiash-ḳhāna rakhte haiñ
kareñge bai.at-e-dast-e-subū pīr-e-muġhāñ tujh se
ki shauq-e-sharb-e-mai hai mashrab-e-rindāna rakhte haiñ
'nasīr' ab ham ko kyā hai qissa-e-kaunain se matlab
ki chashm-e-pur-fusūn-e-yār kā afsāna rakhte haiñ
'nasīr' us shoḳh se kahnā ki pesh-e-chashm-e-hairat meñ
tasavvur roz-o-shab terā ham ai jānāna rakhte haiñ