bīmār ko maraz kī davā denī chāhiye
maiñ piinā chāhtā huuñ pilā denī chāhiye
allāh barkatoñ se navāzegā ishq meñ
hai jitnī pūñjī paas lagā denī chāhiye
dil bhī kisī faqīr ke hujre se kam nahīñ
duniyā yahīñ pe lā ke chhupā denī chāhiye
maiñ ḳhud bhī karnā chāhtā huuñ apnā sāmnā
tujh ko bhī ab naqāb uThā denī chāhiye
maiñ phuul huuñ to phuul ko gul-dān ho nasīb
maiñ aag huuñ to aag bujhā denī chāhiye
maiñ taaj huuñ to taaj ko sar par sajā.eñ log
maiñ ḳhaak huuñ to ḳhaak uḌā denī chāhiye
maiñ jabr huuñ to jabr kī tā.īd band ho
maiñ sabr huuñ to mujh ko duā denī chāhiye
maiñ ḳhvāb huuñ to ḳhvāb se chauñkāiye mujhe
maiñ niiñd huuñ to niiñd uḌā denī chāhiye
sach baat kaun hai jo sar-e-ām kah sake
maiñ kah rahā huuñ mujh ko sazā denī chāhiye