juuñ zarra nahīñ ek jagah ḳhāk-nashīñ ham
ai mahr-e-jahāñ-tāb jahāñ tū hai vahīñ ham
shab halqa-e-rindāñ meñ ajab sair thī saaqī
sāġhar ko samajhte the mah-e-hālā-nashīñ ham
sete haiñ sadā rashk-e-atū-e-qalamī dekh
har tār-e-sarishk apne se dāmān-e-zamīñ ham
ai rashk-e-nasīm-e-saharī kyuuñ hai mukaddar
gulshan meñ tujhe dekhte haiñ chīñ-ba-jabīñ ham
barpā na kahīñ kiije ab shor-e-qayāmat
vahshat-zada ai ḳhāna-e-zanjīr nahīñ ham
sar-rishta rah-e-ishq kā ab haath lagā hai
juuñ dāna-e-tasbīh na Thahreñge kahīñ ham
le kar mah-o-ḳhurshīd kī phir teġh-o-sipar ko
ai charḳh tujhe jānte haiñ bar-sar-e-kīñ ham
yak dast uThā leveñge is safha-e-dil par
naqsh-e-qadam-e-yār ko juuñ naqsh o nagīñ ham
īsā-nafas ab jald pahuñch tū ki haiñ tujh bin
mehmān koī dam ke dam-e-bāz-pasīñ ham
kho baiThe haiñ us ishq ke hāthoñ se 'nasīr' ab
hosh-o-ḳhirad o sabr-o-qarār o dil-o-dīñ ham