jigar kā juuñ sham.a kaash yā-rab ho daaġh raushan murād hāsil
ki dil ko lau lag rahī yahī hai charāġh raushan murād hāsil
mudām kaifiyyat apne dil meñ mai-e-mohabbat ke nashshe kī hai
ki saaqī is āftāb se hai dimāġh raushan murād hāsil
asīr-e-kunj-e-qafas to ho tum ye andalībo sadā ye bolo
shitāb yā-rab charāġh-e-gul se ho baaġh raushan murād hāsil
lage na kyuuñ aag tere sar se ki ishq meñ maiñ ne paañv rakkhā
bajā hai ai sham.a tujh ko kahnā dimāġh raushan murād hāsil
jo yaar aatā hai mere ghar meñ to jald ḳhāna-ḳharāb uḌ jā
jahāñ meñ terā shugūñ ye sab par hai zaaġh raushan murād hāsil
phire hai ai charḳh tū to bāñdhe shikam pe ḳhurshīd kā ye gurda
kahe na kyūñkar ki gurisna ho charāġh raushan murād hāsil
jahāñ meñ kyā DhūñDhtā phire hai surāġh yārān-e-raftagāñ kā
'nasīr' hai chashm-e-naqsh-e-pā se surāġh raushan murād hāsil