ḳhāl-e-ruḳh us ne dikhāyā na dobārā apnā
chande ik aur hai gardish meñ sitārā apnā
dil o diin va ḳhirad o sabr kujā kū ārām
ghar luTā ham ne diyā ishq meñ saarā apnā
bolī sayyād se bulbul ki na kar gul se judā
taḳhta-e-bāġh hai ye taḳht-e-hazārā apnā
sair kī ham ne jo kal mahfil-e-ḳhāmoshāñ kī
na to begāna hī bolā na pukārā apnā
misl-e-nai ham ne to fariyād bahut kī lekin
koī hamdam na huā aah hamārā apnā
dil huā chāh-e-zaqan hī meñ ġharīq-e-rahmat
is meñ ġhavvās-e-nazar garche utārā apnā
khul gayā uqda-e-hastī-o-adam misl-e-habāb
lab-e-dariyā pe huā jab ki guzārā apnā
pairahan us ko huā ḳhil.at-e-shāhī ki 'nasīr'
jis ne ye pairahan-e-ḳhāk utārā apnā