Shah Naseer

be-mehr-o-wafa hai wo dil-aram hamara

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
be-mehr-o-vafā hai vo dil-ārām hamārā
kyā jaane kyā hovegā anjām hamārā
kyā qahr hai auroñ se vo miltā phire zālim
aur muft meñ ab naam hai bad-nām hamārā
ai āb-e-dam-e-teġh-e-sitam-kash bujhā pyaas
hotā hai tirī chaah meñ ab kaam hamārā
labrez kar is daur meñ ai sāqī-e-kam-zarf
mat rakh mai-e-gulgūñ se tahī jaam hamārā
kis tarah nikal bhāgūñ maiñ ab aañkh bachā kar
sad chashm se yaañ hai nigarāñ daam hamārā
ye zulf-o-ruḳh-e-yār hai ai shaiḳh o barahman
billāh yahāñ kufr aur islām hamārā
bai.at kā irāda hai tire silsile meñ juuñ
shāna hai ab ai zulf-e-siyah-fām hamārā
us shoḳh talak koī na pahuñchā sakā hamdam
juz-huqqa yahāñ bosa ba-paiġhām hamārā
kyā kahiye kis andāz se sharmā.e hai vo shoḳh
taqrīban agar le hai koī naam hamārā
sayyād se kahte the ki be-bāl-o-parī meñ
āzād na kar bad hai kuchh anjām hamārā
parvāz kī tāqat nahīñ yaañ tā-sar-e-dīvār
kyūñkar ho pahuñchnā ba-lab-e-bām hamārā
is ishq meñ jiite nahīñ bachne ke 'nasīr' aah
ho jā.egā ik roz yuuñ hī kaam hamārā
Top Urdushayar.com