Shah Naseer

dil mein hai kya jaaniye kis ka KHayal-e-naqsh-e-pa

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
dil meñ hai kyā jāniye kis kā ḳhayāl-e-naqsh-e-pā
lag ga.iiñ āñkheñ zamīñ se jo misāl-e-naqsh-e-pā
tāqat uThne kī nahīñ hai tan meñ zo.af-e-ishq se
haal apnā in dinoñ hai hasb-e-hāl-e-naqsh-e-pā
safha-e-sahrā meñ hai ḳhār-e-muġhīlāñ juuñ alif
ḳhuub ai majnūñ tirī aa.ī hai fāl-e-naqsh-e-pā
yak-qalam ai gul-badan rashk-e-gul-e-qālīñ hai dekh
farsh-e-ḳhākistar hai terā ye nihāl-e-naqsh-e-pā
dur-fishānī se tirī rahtā hai ham-chashm-e-sadaf
thā yahī ai chashm-e-tar tujh se savāl-e-naqsh-e-pā
TikTikī yaañ tak bañdhī haigī ki ḳhāl-e-mardumak
ban gayā is shoḳh kā har vaj.h ḳhāl-e-naqsh-e-pā
sūjhtā hai haath se is nā-tavānī ke 'nasīr'
rafta rafta hoñge ik din pā.emāl-e-naqsh-e-pā
Top Urdushayar.com