huā ashk-e-gulgūñ bahār-e-garebāñ
ba-rañgrag-e-gul hai tār-e-garebāñ
rahe hai sadā chaak mātam-kada meñ
tahayyur nahīñ iḳhtiyār-e-garebāñ
kabhū haath dāman tak us ke na pahuñchā
che-jā.e ki qurb-o-javār-e-garebāñ
tirī dekh āñkheñ ḳhajil hogī nargis
jhukā chashm ko hai do-chār-e-garebāñ
bane mauj ro āstīñ gar nichoḌūñ
ho girdāb har jā fishār-e-garebāñ
sabā kab uThāte haiñ juuñ nik.hat-e-gul
subuk-rūh gardan pe bār-e-garebāñ
supurd ham ne ab nāsehā kar diyā hai
ba-dast-e-junūñ kārobār-e-garebāñ
jahāñ meñ hai ḳhurshīd se sub.h raushan
ki aatā hai tikma ba-kār-e-garebāñ
gale meñ hai champā kalī yā kisū ke
haiñ laḳht-e-jigar ham-kanār-e-garebāñ
lagā.ī nahīñ us ne goTe kī magzī
huī barq aa kar nisār-e-garebāñ
nahīñ tauq pahne hai qumrī ki hai ab
ye zeb-e-gulū-band o hār-e-garebāñ
gulistāñ meñ ye mo.atakif hai jo ab hai
sar-e-ġhuncha sohbat barār-e-garebāñ
'nasīr' ab yahāñ chashm-e-sozan hai mahram
z-sar-rishta-hā.e vaqār-e-garebāñ