Shah Naseer

maine biThla ke jo pas usko khilaya biDa

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
maiñ ne biThlā ke jo paas us ko khilāyā biiḌā
qatl par mere raqīboñ ne uThāyā biiḌā
mushta.il tā-ba-falak ātish-e-pur-dūd huī
mal ke jis vaqt misī tum ne chabāyā biiḌā
surḳh-rū ho ke ye kis muñh se tū ab bole hai
maiñ ne kis roz tire haath se paayā biiḌā
merī aur aap kī majlis meñ bigaḌ jā.egī
tum ne dene ko kisī ke jo banāyā biiḌā
sabz-baḳhtī kahūñ kyā apnī ki vo jaan gayā
paḌh ke afsūñ meñ khilāne ko jo laayā biiḌā
laal kar dūñgā abhī bazm meñ muñh kitnoñ ke
haath se tū ne kisī ko jo khilāyā biiḌā
ai 'nasīr' us ke gale kā huuñ na maiñ kyūñkar haar
aaj gul-rū ne mujhe dekh chabāyā biiḌā
Top Urdushayar.com