shajar haiñ ab samar-āsār mere
chale aate haiñ da.avedār mere
muhājir haiñ na ab ansār mere
muḳhālif haiñ bahut is baar mere
yahāñ ik buuñd kā muhtāj huuñ maiñ
samundar haiñ samundar paar mere
abhī murdoñ meñ rūheñ phūñk Dāleñ
agar chāheñ to ye bīmār mere
havā.eñ oḌh kar soyā thā dushman
ga.e bekār saare vaar mere
maiñ aa kar dushmanoñ meñ bas gayā huuñ
yahāñ hamdard haiñ do-chār mere
hañsī meñ Taal denā thā mujhe bhī
ḳhatā kyuuñ ho ga.e sarkār mere
tasavvur meñ na jaane kaun aayā
mahak uTThe dar-o-dīvār mere
tumhārā naam duniyā jāntī hai
bahut rusvā haiñ ab ash.ār mere
bhañvar meñ ruk ga.ī hai naav merī
kināre rah ga.e is paar mere
maiñ ḳhud apnī hifāzat kar rahā huuñ
abhī so.e haiñ pahre-dār mere