Shah Naseer

jab talak charb na jun sham-e-zaban kijiyega

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
jab talak charb na juuñ sham-e-zabāñ kījiyegā
sarguzisht apnī kā kyā ḳhaak bayāñ kījiyegā
barq saañ hañs ke jo vā aap dahāñ kījiyegā
ma.anī-e-maḳhzan-e-asrār ayaañ kījiyegā
dil ko jab mā.il-e-chashmān-e-butāñ kījiyegā
turfat-ul-ain meñ sair-e-do-jahāñ kījiyegā
dil-e-sad-pāra mirā shīsha-e-ba-shikasta hai
is ko pāmāl zarā dekh ke haañ kījiyegā
dil-e-pur-ābla laayā huuñ dikhāne tum ko
band ai shīsha-garo! apnī dukāñ kījiyegā
kyuuñ lagāte ho mire sīna-e-sad-chāk ko haath
chashm-e-sozan se nazar baḳhiya-garāñ kījiyegā
tum ko apnā dil-e-pur-dāġh dikhāte jo kabhī
sair-e-gulshan na phir ai lāla-ruḳhāñ kījiyegā
haath se mohtasib-e-dahr ke ik din barpā
sar pe shīshe ke ḳharābī na yahāñ kījiyegā
aabrū madd-e-nazar ham ko hai terī yaañ tak
ashk ko rokiyegā zabt-e-fuġhāñ kījiyegā
kyūñki nargis tirī āñkhoñ se kare ham-chashmī
jab tak us kā na ilāj-e-yaraqāñ kījiyegā
rū-kashī dekh na kar gosha-nashīnoñ se falak
har tarah se tirī ḳhātir pa.e-shāñ kījiyegā
nāvak-e-āh lagā.eñge piyāpe tujh par
qadd-e-ḳham-gashta ko jab apne kamāñ kījiyegā
abr-e-naisāñ kī bhī jhaḌ jā.egī pal meñ sheḳhī
dīda-e-tar ko agar ashk-fishāñ kījiyegā
dil meñ kuchh ye na samajhnā ki hamārā hai daur
jāmadārī meñ shak ai bāda-kashāñ kījiyegā
dil meñ rakhte ho ḳhayāl us kī kamar kā jo 'nasīr'
lā-makāñ meñ kahīñ kyā jā ke makāñ kījiyegā
Top Urdushayar.com