lagā jab aks-e-abrū dekhne dildār paanī meñ
baham har mauj se chalne lagī talvār paanī meñ
nahānā mat tū ai rashk-e-parī zinhār paanī meñ
habāb aisā na ho shīsha bane ik baar paanī meñ
sunā ai bahr-e-ḳhūbī terī aThkhelī se chalne kī
uḌaa.ī rafta rafta mauj ne raftār paanī meñ
jhalak is tere kafash-e-pusht-e-māhī kī agar dekhe
kare qālib tahī maahī bhī phir lāchār paanī meñ
nahīñ laḳht-e-jigar ye chashm meñ phirte ki mardum ne
charāġh ab kar ke raushan chhoḌe haiñ do-chār paanī meñ
lab-e-dariyā pe dekh aa kar tamāshā aaj holī kā
bhañvar kaale ke daf baaje hai mauj ai yaar paanī meñ
kahūñ kyā saath ġhairoñ ke to us be-dīd ne hamdam
nahāne ke liye hargiz na kī takrār paanī meñ
kahā maiñ ne jo itnā rakh qadam is dīda-e-tar par
lagā kahne ki aatī hai mirī paizār paanī meñ
'nasīr' āsāñ nahīñ ye baat paanī saḳht mushkil hai
uThā.ī reḳhte kī tū ne kyā dīvār paanī meñ