Shah Naseer

gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
ġharq na kar dikhlā kar dil ko kaan kā baalā zulf kā halqa
bahr-e-husn ke haiñ ye bhañvar do kaan kā baalā zulf kā halqa
hāla-e-mah pahuñche hai nuh us ko nai ḳhat-e-sāġhar us ko lage hai
ā.īna tum le kar dekho kaan kā baalā zulf kā halqa
āhū-e-dil aur tā.ir-e-jāñ ke haq meñ ye donoñ phande haiñ
ham ko dikhā kar tum na chhupāo kaan kā baalā zulf kā halqa
aaj sivā.e shāne ke yaañ kis kā muñh hai kaun hai aisā
chhoḌe tumhāre chehre par jo kaan kā baalā zulf kā halqa
donoñ tere aariz par din raat mile ye rahte haiñ
ainak-e-mahr-o-māh na kyuuñ ho kaan kā baalā zulf kā halqa
taish-zanī meñ ye aqrab hai kaalā hai vo kunDlī maare
hazrat-e-dil baaz aao na chheḌo kaan kā baalā zulf kā halqa
kis ko hisār-e-husn kahūñ maiñ kis ko ḳhat-e-parkār kahe dil
muñh se ulaT burqā ko dikhā do kaan kā baalā zulf kā halqa
ye tire ruḳh ke bose leñ aur tarseñ mirī āñkheñ ai vaa.e
dekh ke kyuuñ rashk aa.e na mujh ko kaan kā baalā zulf kā halqa
aaj zuleḳhā gar yahāñ hotī dām-e-kamand-o-chāh meñ phañstī
dekh mire yūsuf kā azīzo kaan kā baalā zulf kā halqa
kyūñki 'nasīr' arbāb-e-suḳhan tahsīñ na kareñ sun kar ye ġhazal
jabki tum is sūrat se bāñdho kaan kā baalā zulf kā halqa
Top Urdushayar.com