Shah Naseer

us kakul-e-pur-KHam ka KHalal jae to achchha

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
us kākul-e-pur-ḳham kā ḳhalal jaa.e to achchhā
dil sar se balā tere ye Tal jaa.e to achchhā
bose kā savāl us se karūñ huuñ to kahe hai
chal re mire kuchh muñh se nikal jaa.e to achchhā
isbāt na ho dāva-e-ḳhūñ us pe ilāhī
sūrat mire qātil kī badal jaa.e to achchhā
le sar pe vabāl apne patañgoñ kā na ai sham.a
tū aur bhī joban se jo Dhal jaa.e to achchhā
Dasne ko mirā dil hai tirī zulf kī nāgin
tā.ūs-ḳhat us ko jo nigal jaa.e to achchhā
ham chashmī terī chashm se kartā hai ye bādām
us ko koī patthar se kuchal jaa.e to achchhā
zulfoñ ke tasarruf meñ hai be-vaj.h ruḳh-e-yār
kuffār kā kaabe se amal jaa.e to achchhā
ḳhuuñ ho ke ravāñ dil ho gar āñkhoñ se to behtar
yā ishq kī ātish meñ ye jal jaa.e to achchhā
lab par se bulāq apnī dam-e-bosa uThā do
andesha-e-zambūr-e-asal jaa.e to achchhā
pahlū se nikal jaa.e agar dil to balā se
tū chhoḌ ke ḳhālī na baġhal jaa.e to achchhā
kahte haiñ 'nasīr' apnī na tum aah ko roko
ye tiir nishāne pe jo chal jaa.e to achchhā
Top Urdushayar.com