qadam na rakh mirī chashm-e-pur-āb ke ghar meñ
bharā hai mauj kā tūfāñ habāb ke ghar meñ
kahe hai dekh ke vo aks-e-ruḳh ba-sāġhar-e-mai
nuzūl-e-māh huā āftāb ke ghar meñ
mudām rind kareñ kyuuñ na āstāñ-bosī
haram hai shaiḳh-e-mashīḳhat-ma.āb ke ghar meñ
hamāre dil meñ kahāñ aable haiñ ai saaqī
chune hue haiñ ye shīshe sharāb ke ghar meñ
taḌap ko dekh mire dil kī barq-e-ātish-bār
ḳhajil ho chhup ga.ī āḳhir sahāb ke ghar meñ
dilā na kyūñke karūñ iḳhtilāt kī bāteñ
hijāb kyā hai ab us be-hijāb ke ghar meñ
'nasīr' dekh to kyā jalva-e-ḳhudā.ī hai
hamāre us but-e-ḳhāna-ḳharāb ke ghar meñ