Shah Naseer

wan kamar bandhe hain mizhgan qatl par donon taraf

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
vaañ kamar bāñdhe haiñ mizhgāñ qatl par donoñ taraf
yaañ saf-e-ushshāq haiñ zer-o-zabar donoñ taraf
zulf kā sar-basta kūcha maañg kā rasta hai tañg
dil tirī shāmat hai mat jā be-ḳhatar donoñ taraf
dair-o-ka.aba meñ tafāvut ḳhalq ke nazdīk hai
shāhid-e-ma.anī kā har sūrat hai ghar donoñ taraf
hai vo dariyā meñ nahātā maiñ huuñ ġharq-e-āb-e-sharm
kuchh ajab ik mājrā hai Turfa-tar donoñ taraf
ishq vo hai jis ke hāthoñ qumrī o bulbul ke aah
zer-e-sarv-o-gul paḌe haiñ bāl-o-par donoñ taraf
chashm meñ kyā nuur hai dil meñ bhī us kā hai zuhūr
zāhir-o-bātin vahī hai jalva-gar donoñ taraf
āmad-o-shud meñ hai dekhī sair-e-bastī-o-adam
ham ko is mehmāñ-sarā meñ hai safar donoñ taraf
sham.a kuchh jaltī nahīñ parvāna bhī detā hai jī
sozish-e-ulfat se hai jī kā zarar donoñ taraf
panja-e-mizhgāñ pe rakhkhūñ kyuuñ na maiñ dil aur jigar
nazr ko laayā huuñ terī kar nazar donoñ taraf
dil meñ gar aatā hai to aa jān-e-man āñkhoñ kī raah
is makān-e-dil-kushā ke haiñ ye dar donoñ taraf
kuchh habāb o bahr meñ mat farq samjho ai 'nasīr'
dekho Tuk chashm-e-haqīqat khol kar donoñ taraf
Top Urdushayar.com