Shah Naseer

na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
na kyuuñ ki ashk-e-musalsal ho rahnumā dil kā
tarīq-e-ishq meñ jaarī hai silsila dil kā
dikhā ke dast-e-hinā.ī na ḳhuuñ bahā dil kā
ki aur rañg se lūñgā maiñ ḳhūñ-bahā dil kā
maiñ tifl-e-ashk ko mizhgāñ pe dekh hairāñ huuñ
ki nūr-e-dīda hai yā hai bālakā dil kā
tū aa.ine pe na apne kar ai sikandar naaz
ki ham bhī rakhte haiñ jām-e-jahāñ-numā dil kā
bahisht pahuñche hai zāhid! kab us kī vus.at ko
ajab ravish kā hai ye bāġh-e-dil-kushā dil kā
bajā huuñ sar-ba-garebāñ ki us ke dāman tak
na pahuñchā aah kabhī dast-e-nā-rasā dil kā
tire ḳhadañg-e-mizha se hai yak-qalam majrūh
na pūchh ai but-e-bad-kesh! mājrā dil kā
lagā.ī kis but-e-mai-nosh ne hai taak us par
subū-ba-dosh hai saaqī jo aabla dil kā
hazār bain kaheñ kyuuñ na ahl-e-bīnā.ī
ki saaf bū-qalamoñ hai ye aa.inā dil kā
bahār tujh ko dikhā.eñge ham bhī ai gul-rū
kisī ravish se jo ġhuncha kabhī khilā dil kā
zuhūr-e-jalva-e-ma.abūd hai bahar-sūrat
rakhā hai naam bajā ḳhāna-e-ḳhudā dil kā
ruvāq-e-chashm meñ mat rah ki hai makān-e-nuzūl
tire to vāste ye qasr hai banā dil kā
qarār o tāqat o sabr o ḳhirad hue sab gum
tumhārī zulf meñ abtar hai haal kyā dil kā
kaheñge ham ye sarāsar jo koī pūchhegā
savād-e-hind meñ luuTā hai qāfila dil kā
na kyūñki aah se ḳhātir nishāñ ho ab merī
ki tiir ye nahīñ kartā kabhī ḳhatā dil kā
hamāre daaġh se bhañvre ko kyā bhalā nisbat
ki vo rafīq hai gul kā ye āshnā dil kā
lagā na dil ko tū apne kisī se dekh 'nasīr'
burā na maan ki is meñ nahīñ bhalā dil kā
Top Urdushayar.com