Shah Naseer

jo ain wasl mein aaram se nahin waqif

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
jo ain vasl meñ ārām se nahīñ vāqif
vo matlab-e-dil-e-ḳhud-kām se nahīñ vāqif
hañsā chaman meñ jo dil dekh sūrat-e-sayyād
ye murġh daane se aur daam se nahīñ vāqif
tamām shahr meñ jis ke liye hue bad-nām
vo ab talak bhī mire naam se nahīñ vāqif
har ek ishq ke kab qā.ede se mahram hai
hanūz shaiḳh alif laam se nahīñ vāqif
hazār haif yahāñ chhat se lag ga.iiñ āñkheñ
vahāñ vo shoḳh lab-e-bām se nahīñ vāqif
dilā abas talab-e-bosa hai tujhe us se
vo la.al-e-lab ki lab-e-jām se nahīñ vāqif
sajī hai lek use zar kulāh guzrī kī
faqīr atlas-o-pīlām se nahīñ vāqif
tapish se dil kī ḳhabar hove hai yahāñ ma.alūm
maiñ tarz-e-nāma-o-paiġhām se nahīñ vāqif
na ḳhush visāl meñ ho rakh tū yād-e-hijr 'nasīr'
magar tū gardish-e-ayyām se nahīñ vāqif
Top Urdushayar.com