Shah Naseer

talab mein bose ki kya hai hujjat sawal digar jawab digar

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
talab meñ bose kī kyā hai hujjat savāl dīgar javāb dīgar
samajh ke kah baat be-muravvat savāl dīgar javāb dīgar
kalām tujh se hai aur apnā suḳhan ko ham tere kyūñki jāneñ
zarā ye khultī nahīñ haqīqat savāl dīgar javāb dīgar
maiñ apne matlab kī kah rahā huuñ vo ā.ina-rū ik aib meñ hai
bhalā ho milne kī ḳhaak sūrat savāl dīgar javāb dīgar
agar kahūñ maiñ sañvāro zulfeñ to vo bigaḌte haiñ de ke gaalī
ajab nasīboñ kī kuchh hai shāmat savāl dīgar javāb dīgar
mirā to paiġhām vasl kā hai tumhārī taqrīr hijr kī hai
butāñ hai ye bhī ḳhudā kī qudrat savāl dīgar javāb dīgar
kahā jo maiñ ne ki do mirā dil to bole hañs kar kidhar hai dilī
kahūñ to kyā aur un ko rahmat savāl dīgar javāb dīgar
Top Urdushayar.com