Shah Naseer

kuchh sarguzisht kah na sake ru-ba-ru qalam

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
kuchh sarguzisht kah na sake rū-ba-rū qalam
gardish-nasīb roz-e-azal se hai tū qalam
kāġhaz kā taao kyā hai tire rū-ba-rū qalam
aisā hī ya.anī piir kā neza hai tū qalam
zālim nahīñ tū harf-e-mohabbat se āshnā
mashq-e-sitam se sharm kar ai jañg-jū qalam
kyā ḳhāma likh sake sifat-e-zulf-e-mushk-bār
shore ke bhī hue haiñ kahīñ mushk-bū qalam
naama par-e-humā ho mirā ai shah-e-butāñ
likho gar ustuḳhāñ se banā kar kabhū qalam
qātil ko maiñ ne ḳhat nahīñ shanjarf se likhā
kis vaj.h se huā hai tū ab surḳh-rū qalam
ya.anī ki us ke ishq meñ is dam milā hai yaañ
muñh se lahū lagā ke shahīdoñ meñ tū qalam
likh aur ik ġhazal ki shagufta zamīn hai
le kar 'nasīr' ab ye lab-e-ābjū qalam
Top Urdushayar.com