na dikhā.iyo hijr kā dard-o-alam tujhe detā huuñ charḳh-e-ḳhudā kī qasam
mire yaar ko mujh se na kiijo judā tujhe sarvar-e-har-dūsrā kī qasam
vo sanam ka.ī din se hai mujh se ḳhafā nahīñ aatā idhar ko ḳhudā kī qasam
dil-e-mushfiq-e-man use khīñch to lā tujhe jazba-e-kāh-rubā kī qasam
yahī chāhe hai jī ki gale se lago zarā mere dahan se dahan to malo
nahīñ ġhurfe se aan ke jhāñk to lo tumheñ apnī hai sharm-o-hayā kī qasam
kabhī shab ko akelā jo pā.ūñ tujhe to gale se phir apne lagā.ūñ tujhe
kabhī chhātī pe apnī sulā.ūñ tujhe mujhe ishq ke jaur-o-jafā kī qasam
tire uThte hī pahlū meñ dard uThā tire jaate hī dam ye adam ko chalā
mujhe chhoḌ ke aah tū ghar ko na jā tujhe apne hī funduq-e-pā kī qasam
mujhe bahr-e-ḳhudā kahīñ us se chhuḌā tire hijr kī shab hai ye kaalī balā
nahīñ jhuuT maiñ kahtā kuchh is meñ zarā mujhe terī hī zulf-e-dotā kī qasam
ajī dekho to kaisī uThī hai ghaTā yahī aish kā din hai uḌā le mazā
karo bāda-kashī mire māh-laqā tumheñ detā huuñ abr-o-havā kī qasam
ajī jaatī hai aaj tū vasl kī shab nahīñ kyuuñ hai milāyā laboñ se ye lab
mujhe ab to uḌāne de aish tū ab tujhe apne hai mehr-o-vafā kī qasam
lage terī balā mujhe āfat-e-jāñ kabhū phir bhī ye kah ke khilā.egā paañ
mire sar kī qasam mirī jaañ kī qasam mire ġhamza-o-nāz-o-adā kī qasam
mareñ ġhair pe aap maiñ tum pe marūñ mujhe kyā hai ġharaz kaho kyuuñ maiñ jalūñ
yahī jī maiñ hai tum se na baat karūñ mujhe apnī is āh-e-rasā kī qasam
kise dekhūñ kaho lagūñ kis ke gale shab-e-vasl meñ mujh se jo tū ye kahe
ki ye bāda-e-surḳh tū pī le tujhe mire hāthoñ ke rañg-e-hinā kī qasam
kahāñ jaatā hai muñh ko chhupā.e hue tire hijr meñ jaate haiñ ham to mare
kabhī muḌ ke idhar ko bhī dekh to le tujhe hazrat-e-sher-e-ḳhudā kī qasam
suno serī na ho mujhe khaao ajī mujhe piiTo jo mujh ko girāo ajī
mire ghar se na aaj to jaao ajī tumheñ merī hī shab kī bukā kī qasam
mire bichhḌe ko mujh se milāo koī mire rūThe ko lā ke manāo koī
are yaaro tum us ko bulāo koī tumheñ ḳhāliq-e-arz-o-samā kī qasam