uThtī ghaTā hai kis tarah bole vo zulf uThā ki yuuñ
barq chamaktī kyūñki hai hañs ke ye phir kahā ki yuuñ
chorī se us ke paañv tak pahuñchī thī shab ko kis tarah
aa kahīñ haath mat bañdhā kah de ab ai hinā ki yuuñ
din ko falak pe kahkashāñ nikle hai kyūñki ġhair-e-shab
chīn-e-jabīñ dikhā mujhe us ne diyā batā ki yuuñ
jaise kahā ki āshiqāñ rahte haiñ kyūñki chāk-jeb
us ko gul-e-chaman dikhā kah ke chalī sabā ki yuuñ
ho ga.e bar-sar-e-ḳhalish le ke sināñ jo ḳhār-e-dasht
kar ne kalām tab lagā qais-e-barhana-pā ki yuuñ
pūchhe hai vo ki kis tarah shīsha-o-jām kā hai saath
kah de milā ke chashm se chashm ko sāqiyā ki yuuñ
karte safar haiñ kis tarah bahr-e-jahāñ se ai hubāb
ḳheme ko apne laad kar kar de ye uqda vā ki yuuñ