dil ishq-e-ḳhush-qadāñ meñ jo ḳhvāhān-e-nāla thā
dīvāna-vār silsila-jumbān-e-nāla thā
naale se mere kyā hai havā.ī ko ham-sarī
tīr-e-shahāb raat ko qurbān-e-nāla thā
DhūñDūñ na kyūñki dil ko maiñ ai āhuvān-e-dasht
siine meñ vo to sher-e-niyastān-e-nāla thā
kartā thā jin dinoñ ye falak ham se sar-kashī
nāvak-zanī kā aah se paimān-e-nāla thā
ishq-e-butāñ thā dil se jo dam-sāz misl-e-nai
har dam asar meñ tāba-e-farmān-e-nāla thā
sayyād ke jigar meñ kare thā sināñ kā kaam
murġh-e-qafas ke sar pe ye ehsān-e-nāla thā
gaaḌe falak pe kyā ye dil-e-nā-tavāñ alam
vo din ga.e jo auj-e-farāvān-e-nāla thā
kal shab ko zikr thā jo kisī neza-bāz kā
āshiq kā tere charḳh sanā-ḳhvān-e-nāla thā
yāroñ ke qāfile kī mujhe jab ki yaad thī
siine meñ juuñ jaras mire sāmān-e-nāla thā
mat pūchh vārdāt-e-shab-e-hijr ai 'nasīr'
maiñ kyā kahūñ jo kār-e-numāyān-e-nāla thā
lene ko aḳhtrān-e-falak se ḳhirāj-o-bāj
har aan sho.ala-o-sharar-afshān-e-nāla thā