diloñ meñ aag laboñ par gulāb rakhte haiñ
sab apne chehroñ pe dohrī naqāb rakhte haiñ
hameñ charāġh samajh kar bujhā na pāoge
ham apne ghar meñ ka.ī āftāb rakhte haiñ
bahut se log ki jo harf-āshnā bhī nahīñ
isī meñ ḳhush haiñ ki terī kitāb rakhte haiñ
ye mai-kada hai vo masjid hai vo hai but-ḳhāna
kahīñ bhī jaao farishte hisāb rakhte haiñ
hamāre shahr ke manzar na dekh pā.eñge
yahāñ ke log to āñkhoñ meñ ḳhvāb rakhte haiñ