Shah Naseer

pamal-e-rah-e-ishq hain KHilqat ki kha Thokar bhi hum

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
pāmāl-e-rāh-e-ishq haiñ ḳhilqat kī khā Thokar bhī ham
juuñ shīsha nāzuk-tar the kyā saḳhtī meñ haiñ patthar bhī ham
ā.īna dil kā saaf kar kahlā.e saiqal-gar bhī ham
apne sivā dekheñ kise andar bhī ham bāhar bhī ham
jāñ-bar ho un se kyūñki dil kahtī haiñ palkeñ yaar kī
neza bhī ham nāvak bhī ham barchhī bhī ham ḳhanjar bhī ham
ashkoñ kī daulat kyuuñ na ho sultān-e-aqlīm-e-junūñ
rakhte haiñ saath apne sadā laḌkoñ kā ik lashkar bhī ham
chunvā ke abrū mujh se kyā vo hañs ke farmāne lage
is teġh ke dam le sadā dikhlā.eñge jauhar bhī ham
kyā ḳhaak kiije mai-kashī ai sāqī-e-gulfām aa
giryāñ haiñ misl-e-abr kyā juuñ barq haiñ muztar bhī ham
kahte haiñ vo pāñ-ḳhurda-lab yāqūt ke TukḌe to the
kahlā.e lekin aaj se barg-e-gul-e-ahmar bhī ham
ai shoḳh dāñtoñ kā tire yaañ ye tasavvur hai bañdhā
din raat chashm-e-tar se yaañ barsāte haiñ gauhar bhī ham
rakhte to haiñ girdāb-e-yam par Dar hai ye ai chashm-e-tar
girdāb-e-dariyā kī tarah khāte haiñ yaañ chakkar bhī ham
jo chāhe kar jaur-o-jafā par dil kā mohr-e-dāġh se
roz-e-qayāmat kosnā dikhlā.eñge mahzar bhī ham
qad se 'nasīr' us ke sadā ik shor-e-mahshar hai bapā
chhūTe azāb-e-qabr se kyā ḳhaak yaañ mar kar bhī ham
Top Urdushayar.com