Shah Naseer

dam le ai kohkan ab tesha-zani KHub nahin

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
dam le ai kohkan ab tesha-zanī ḳhuub nahīñ
jān-e-shīrīñ ko na kho koh-kanī ḳhuub nahīñ
Tuk tū hañs-bol ye ġhuncha-dahanī ḳhuub nahīñ
rashk-e-gul itnī bhī haañ kam-suḳhanī ḳhuub nahīñ
sar pe qumrī ko biThāyā to hai tū ne par sarv
terī āzād-vashī be-kafanī ḳhuub nahīñ
qābil-e-chasm-numā.ī hai tū ai tifl-e-sarishk
abtar itnā bhī na ho nāshudanī ḳhuub nahīñ
fasl-e-gul aane de dikhlā na abhī se zanjīr
ye ravish mauj-e-nasīm-e-chamanī ḳhuub nahīñ
man.a hañsne se to kartā nahīñ ai barq-vasho
phir sharārat se ye chashmak-zadanī ḳhuub nahīñ
ho sake tujh se to kar murġh-e-chaman gul kā ilaaj
us ko bīmārī-e-a.azā-shikanī ḳhuub nahīñ
koī dam aur bhī us abrū-e-pur-ḳham ko chhū
asfahānī ye abhī teġh banī ḳhuub nahīñ
chashm se us kī na kar da.av-e-ham-chashmī dekh
ki ḳhatā aisī ġhazāl-ḳhutanī ḳhuub nahīñ
maar khā.egā vo ḳhayyāt ki jis ne tere
band jaame ke liye nāg-phanī ḳhuub nahīñ
muñh ko dekh apne tū aur us ke lab-e-lāl ko dekh
rū-kashī us se aqīq-e-yamanī ḳhuub nahīñ
tark chashm-e-but-e-bad-kesh ḳhayāl us kā chhoḌ
murġh-e-dil sahme hai navak-faganī ḳhuub nahīñ
shāḳh-e-gul hai ki kamar baad se lachke hai tirī
ai miyāñ itnī bhī nāzuk-badanī ḳhuub nahīñ
maiñ bhī huuñ bādiya-paimā-e-junūñ ai majnūñ
is qadar aage mire lāf-zanī ḳhuub nahīñ
chhalnī kāñToñ se hue go mire talve lekin
dasht-e-vahshat kī abhī ḳhaak chhanī ḳhuub nahīñ
zahr khā jā.ūñgā ai sāqī-e-paimāna-ba-kaf
baaz aa jaane de paimāñ-shikanī ḳhuub nahīñ
Top Urdushayar.com