Shah Naseer

dil ko kis surat se kije chashm-e-dilbar se juda

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
dil ko kis sūrat se kiije chashm-e-dilbar se judā
shīsha-e-mai ko nahīñ rakhte haiñ sāġhar se judā
maiñ to huuñ ai tāla-e-bargashta dilbar se judā
aur patthar āsiyā kā ho na patthar se judā
us ke bahr-e-husn meñ mat chhoḌ ai dil tār-e-zulf
ġharq ho jaatī hai kashtī ho ke lañgar se judā
ishq meñ shīrīñ ke tū ne jān-e-shīrīñ dī hai aah
naqsh terā kohkan ho kyuuñ ki patthar se judā
chashm ye tujh se hai yā-rab tā na ho lail-o-nahār
chashm us parda-nashīñ ke raḳhna-e-dar se judā
kanda is mere nagīn-e-dil pe terā naam hai
us ko apne ḳhātam-e-dil ke na kar ghar se judā
is ko kahte haiñ mohabbat shīsha-e-sā.at ko dekh
ek ke hotā nahīñ hai dūsrā bar se judā
vo udhar ḳhandāñ hai maiñ giryāñ idhar hairat hai ye
barq chamke abr garje aur meñh barse judā
sūrat-e-bādām-e-tav-am roz-o-shab hotā nahīñ
chashm-e-dilbar kā tasavvur chashm ke ghar se judā
sozan-e-be-rishta aatī hai kasī ko kab nazar
to na ho ai āh-e-dil is jism-e-lāġhar se judā
parda-e-mīnā se saaqī duḳht-e-raz nikle hai kyuuñ
āftāb-e-ḳhāvarī hotā hai ḳhāvar se judā
us kī mizhgāñ se chhuḌā.ūñ dil ko kis sūrat se maiñ
panjā-e-shāhīñ nahīñ hotā kabūtar se judā
taab us champā-kalī kī yuuñ hai tikme ke tale
juuñ kiran chamke hai ho kar mahr-e-anvar se judā
ashk-e-chashm-e-tar ko rahne duuñ tah-e-mizhgāñ na kyuuñ
tifl ko karte nahīñ dāmān-e-māder se judā
is zamīñ meñ likh ġhazal ik aur pur-ma.anī 'nasīr'
rañg ya.anī ho nahīñ saktā gul-e-tar se judā
is ġhazal ko sun ke 'ḳhāqānī' kare vajd ai 'nasīr'
'anvarī' bhī sar ko apne paTke patthar se judā
Top Urdushayar.com