mil baiThne ye de hai falak ek dam kahāñ
kyā jaane tum kahāñ ho koī dam ko ham kahāñ
kūche se tere uTh ke bhalā jaa.eñ ham kahāñ
juz naqsh-e-pā hai rahbar-e-mulk-e-adam kahāñ
dāman-kashāñ phire hai mirī ḳhaak se hanūz
rakhtā hai aah vo sar-e-marqad qadam kahāñ
us ke saf-e-mizha se laḌāve nishān-e-āh
ai fauj-e-ashk jaa.e hai le kar alam kahāñ
merā hī laḳht-e-dil hai ki ham-rāh-e-ashk hai
varna rahe hai aab se ātish baham kahāñ
sab se judā tire ḳhat-e-raihāñ kī shaan hai
us ḳhat ko likh sake hai zamurrad raqam kahāñ
muñh dekhūñ jo kare yad-e-qudrat se ham-sarī
aisī safā.ī haath kī aur ye qalam kahāñ
kyūñ-kar na saqf-e-charḳh-e-kuhan tham rahe 'nasīr'
mere sutūn-e-āh chhuT is meñ hai tham kahāñ