Shah Naseer

chashm mein kab ashk bhar late hain hum

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
chashm meñ kab ashk bhar laate haiñ ham
raat din motī hī barsāte haiñ ham
jabki vo tīr-e-nigah khāte haiñ ham
sahm kar bas sard ho jaate haiñ ham
jins-e-dil ko chhoḌ mat ai zulf-e-yār
hai ye saudā muft Thahrāte haiñ ham
nāsehā dast-e-junūñ se kaam hai
kab ye chāk-e-jeb silvāte haiñ ham
is qadar mat kar sharārat sho.ala-ḳhez
terī in bātoñ se jal jaate haiñ ham
kaun kahtā hai na kiije imtihāñ
gar abhī kahiye to mar jaate haiñ ham
ḳhat but-e-nau-ḳhat likhe hai ġhair ko
pech-o-tāb is vāste khāte haiñ ham
kholiye kyā aañkh mānind-e-habāb
turfat-ul-ain aah miT jaate haiñ ham
chheḌne se zulf ke uljho na tum
paḌ gayā hai pech suljhāte haiñ ham
garche haiñ darvesh lekin ai falak
tujh ko ḳhātir meñ nahīñ laate haiñ ham
niim naañ ke vāste kab juuñ hilāl
tere aage haath phailāte haiñ ham
gulshan-e-duniyā hai nairañgī ke saath
aur kuchh us kī ravish paate haiñ ham
kab ba-rañg-e-bū-e-gul bāhar sabā
apne jaame se nikal jaate haiñ ham
jis qadar haañ dekhte haiñ oḌhnā
paañv yaañ utne hī phailāte haiñ ham
kyā kareñ kis se kaheñ nā-chār haiñ
dil kī be-tābī se ghabrāte haiñ ham
koī bhī itnā nahīñ kahtā 'nasīr'
sabr kar zālim use laate haiñ ham
Top Urdushayar.com