Shah Naseer

jo guzre hai bar aashiq-e-kaamil nahin malum

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
jo guzre hai bar āshiq-e-kāmil nahīñ ma.alūm
jibrīl hai har aan meñ nāzil nahīñ ma.alūm
kyā parda-e-ġhaflat hai kuchh ai dil nahīñ ma.alūm
rahtā hai shab-o-roz vo nāzil nahīñ ma.alūm
har dam yahī rahtā hai yahāñ dil meñ pas-o-pesh
jiine kā ba-juz-marg kuchh hāsil nahīñ ma.alūm
ruḳh dekh ke hairāñ huuñ tirā juuñ gul-e-ḳhurshīd
chhuT tere mujhe koī muqābil nahīñ ma.alūm
baḳhshish ye jo rakhtā hai ba-kaf bahr hai kashtī
kyā jāniye ye kis se hai saa.il nahīñ ma.alūm
be-thāh ho kyā bahr-e-haqīqat kā shanāvar
jis kā kahīñ āḳhir lab-e-sāhil nahīñ ma.alūm
kyuuñ rahte haiñ nit revḌī ke phere meñ āshiq
us ke lab-e-shīrīñ pe kahīñ til nahīñ ma.alūm
jarrāh ye kahtā hai mujhe dekh ke be-dam
kis teġh-e-nigah kā hai ye ghā.el nahīñ ma.alūm
juuñ ā.īna hairat-zada yaañ dekhūñ huuñ sab ko
kyā jāniye kis par huuñ maiñ maa.il nahīñ ma.alūm
chal chal ke rah-e-ishq meñ juuñ naqsh-e-qadam ham
thak baiThe 'nasīr' ab hameñ manzil nahīñ ma.alūm
Top Urdushayar.com