maiñ zo.af se juuñ naqsh-e-qadam uTh nahīñ saktā
baiThā huuñ sar-e-ḳhāk pe jam uTh nahīñ saktā
ai ashk-e-ravāñ saath le ab āh-e-jigar ko
āshiq kahīñ be-fauj-o-alam uTh nahīñ saktā
saqf-e-falak-e-kohna meñ kyā ḳhaak lagā.ūñ
ai zo.af-e-dil is aah kā tham uTh nahīñ saktā
sar ma.arka-e-ishq meñ āsāñ nahīñ denā
gaaḌe hai jahāñ sham.a qadam uTh nahīñ saktā
hai jumbish-e-mizhgāñ kā kisī ke jo tasavvur
dil se ḳhalish-e-ḳhār-e-alam uTh nahīñ saktā
dil par hai mire ḳhema-e-har-ābla asnād
kyā kījiye ki ye lashkar-e-ġham uTh nahīñ saktā
har jā mutajalla hai vo bar parda-e-ġhaflat
ai mo.atakif-e-dair-o-haram uTh nahīñ saktā
yuuñ ashk zamīñ par haiñ ki manzil ko pahuñch kar
juuñ qāfila-e-mulk-e-adam uTh nahīñ saktā
ro ro ke likhā ḳhat jo use maiñ ne to bolā
ik harf sar-e-kāġhaz-e-nam uTh nahīñ saktā
har dam lab-e-favvāra se jaarī ye suḳhan hai
paanī na zarā jis meñ ho dam uTh nahīñ saktā
maiñ uTh ke kidhar jā.ūñ Thikānā nahīñ koī
merā tire kūche se qadam uTh nahīñ saktā
mehñdī to sarāsar nahīñ paañv meñ lagī hai
tū bahr-ayādat jo sanam uTh nahīñ saktā
bīmār tirā sūrat-e-tasvīr-e-nihālī
bistar se tire sar kī qasam uTh nahīñ saktā
maiñ shāh-savār aaj huuñ maidān-e-suḳhan meñ
rustam kā mire aage qadam uTh nahīñ saktā
kyā neza hilāvegā koī ab ki kisī se
yaañ tausan-e-rahvār-e-qalam uTh nahīñ saktā
juuñ ġhuncha 'nasīr' us but-e-gul-rū kī jo hai yaad
yaañ sar ho garebāñ se baham uTh nahīñ saktā