savāl ghar nahīñ buniyād par uThāyā hai
hamāre paañv kī miTTī ne sar uThāyā hai
hamesha sar pe rahī ik chaTān rishtoñ kī
ye bojh vo hai jise umr-bhar uThāyā hai
mirī ġhulail ke patthar kā kār-nāma thā
magar ye kaun hai jis ne samar uThāyā hai
yahī zamīñ meñ dabā.egā ek din ham ko
ye āsmān jise dosh par uThāyā hai
bulandiyoñ ko pata chal gayā ki phir maiñ ne
havā kā TuuTā huā ek par uThāyā hai
mahā-balī se baġhāvat bahut zarūrī hai
qadam ye ham ne samajh soch kar uThāyā hai