zulf kā kyā us kī chaTkā lag gayā
zor-e-dil ke haath laTkā lag gayā
tār-e-mizhgāñ par chalā jaatā hai ashk
kaam par laḌkā ye naT kā lag gayā
chashm-o-abrū par nahīñ mauqūf kuchh
jān-e-man dil jis kā aTkā lag gayā
jām-e-gul meñ kyuuñ na de shabnam gulāb
sub.h-dam ġhunche ko chaTkā lag gayā
manzil-e-gum-karda ik maiñ huuñ 'nasīr'
raah se jo koī bhaTkā lag gayā