bair duniyā se qabīle se laḌā.ī lete
ek sach ke liye kis kis se burā.ī lete
aable apne hī añgāroñ ke taaza haiñ abhī
log kyuuñ aag hathelī pe parā.ī lete
barf kī tarah december kā safar hotā hai
ham use saath na lete to razā.ī lete
kitnā mānūs sā ham-dardoñ kā ye dard rahā
ishq kuchh rog nahīñ thā jo davā.ī lete
chāñd rātoñ meñ hameñ Dastā hai din meñ sūraj
sharm aatī hai añdheroñ se kamā.ī lete
tum ne jo toḌ diye ḳhvāb ham un ke badle
koī qīmat kabhī lete to ḳhudā.ī lete