sab ko rusvā baarī baarī kiyā karo
har mausam meñ fatve jaarī kiyā karo
rātoñ kā nīndoñ se rishta TuuT chukā
apne ghar kī pahre-dārī kiyā karo
qatra qatra shabnam gin kar kyā hogā
dariyāoñ kī da.ave-dārī kiyā karo
roz qasīde likkho gūñge bahroñ ke
fursat ho to ye begārī kiyā karo
shab bhar aane vaale din ke ḳhvāb buno
din bhar fikr-e-shab-bedārī kiyā karo
chāñd ziyāda raushan hai to rahne do
jugnū-bhayyā jī mat bhārī kiyā karo
jab jī chāhe maut bichhā do bastī meñ
lekin bāteñ pyārī pyārī kiyā karo
raat badan-dariyā meñ roz utartī hai
is kashtī meñ ḳhuub savārī kiyā karo
roz vahī ik koshish zinda rahne kī
marne kī bhī kuchh tayyārī kiyā karo
ḳhvāb lapeTe sote rahnā Thiik nahīñ
fursat ho to shab-bedārī kiyā karo
kāġhaz ko sab sauñp diyā ye Thiik nahīñ
sher kabhī ḳhud par bhī taarī kiyā karo