Rahat Indori

hon lakh zulm magar bad-dua nahin denge

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
hoñ laakh zulm magar bad-duā nahīñ deñge
zamīn maañ hai zamīñ ko daġhā nahīñ deñge
hameñ to sirf jagānā hai sone vāloñ ko
jo dar khulā hai vahāñ ham sadā nahīñ deñge
rivāyatoñ kī safeñ toḌ kar baḌho varna
jo tum se aage haiñ vo rāsta nahīñ deñge
yahāñ kahāñ tirā sajjāda aa ke ḳhaak pe baiTh
ki ham faqīr tujhe boriyā nahīñ deñge
sharāb pī ke baḌe tajarbe hue haiñ hameñ
sharīf logoñ ko ham mashvara nahīñ deñge
Top Urdushayar.com